Tuesday, August 27, 2013

आज फिर, तुम्हारी याद आई है(Aaj Phir Tumhari Yaad Aai Hai)

आज फिर, तुम्हारी याद आई है,
फिर कोई बात तुम्हारी  याद आई है। 

सोचता था के भूल जाऊंगा तुम्हें,
आज फिर, वो दास्ताँ याद आई है।

एक दफ़ा कोशिश की थी,
वक़्त को रोक लूं किसी तरह से,
दामन छुड़ा गया वो आहिस्ता आहिस्ता से,
कुछ लम्हें हाथ लगे थे मेरे,
आज फिर, वो लम्हें याद आये है। 

आज फिर, तुम्हारी याद आई है,
फिर कोई बात तुम्हारी  याद आई है। 

जहाँ से शुरू हुआ था, 
मुलाकातों  का सिलसिला;
आज लौट आया वहीं। 
सब सूना सा है यहाँ,
जब ख़याल आया तेरा। 
आज फिर, तुम याद आये,
और वो मुलाकातें याद आई है। 

दिल के कोने में, किया था तुझको दफ़न,
आज दिल रोया तो,
आज फिर, तुम्हारी याद आई है,
फिर कोई बात तुम्हारी  याद आई है।

                                            --विनीत आर्य 
Aaj fir, tummmhari yaad aai hai, fir koi baat tumhari yaad aai hai. Sochta tha ke bhool jaunga tumhe, aaj fir, wo daastaan yaad aai hai. Ek dafa koshish ki thi, Waqt ko rok loon kisi tarha se, Daaman chhuda gaya wo aahista aahista se. Kuch lamhe haath lage the mere, Aaj fir, wo lamhe yaad aaye hai. Aaj fir, tummmhari yaad aai hai, fir koi baat tumhari yaad aai hai. Jahan se suru hua tha, Mulakaton ka silsila, Aaj lout aaya wahin, Sab suna sa hai yahan, Jab khayal aaya tera, Aaj fir, tum yaad aaye, Aur wo mulakatein yaad aai hai. Dil ke kone me, kiya thaa tujhko dafan, aaj dil roya to, aaj fir, tummmhari yaad aai hai. fir koi baat tumhari yaad aai hai. --Vineet Arya

1 comment: