Tuesday, February 12, 2002

मैं खुद को भूला बैठा हूँ (Main Khud Ko Bhoola Baitha Hoon)

मैं खुद को भूला बैठा हूँ, जबसे तुम्हे देखा है.
रातों को ख्वाबों में, सुबहा को शीशे में, मैं तुमको देखता हूँ.
फिर सोच में पड़ जाता हूँ, ये क्या हो रहा है?
मैं खुद को भूला बैठा हूँ, जबसे तुम्हे देखा है.

घर से चलता हूँ, तो याद तुम आते हो.
फिर ख़याल मन में आता है, तुमसे फिर मिलूँगा.
फिर सोच में पड़ जाता हूँ, मैं बात क्या करूँगा?
मैं खुद को भूला बैठा हूँ, जबसे तुम्हे देखा है.

हर तरफ नज़र तुम ही तुम आते हो,
हर जगह तेरा चेहरा बीनाई देता है,
फिर सोच में पड़ जाता हूँ, ये हाल मेरा क्या है?
मैं खुद को भूला बैठा हूँ, जबसे तुम्हे देखा है.

                                                   --विनीत आर्य

अर्थ:
  बीनाई =  Eyesight; Vision;

Main khud ko bhula baitha hoon, jab se tumhe dekha hai. raaton ko khawbo mein, subha ko shishe mein, main tum ko dekhta hoon. Pir soch mein pad jata hoon, ye kya ho raha hai. lagta hai mujhe thoda-2 pyar ho raha hai. Main khud ko bhula baitha hoon, jab se tumhe dekha hai. Ghar se chalta hoon, to yaad tum aate ho. fir khayal mann mein aata hai, tu se fir milunga. fir soch mein pad jata hoon, main baat kya karunga. Main khud ko bhula baitha hoon, jab se tumhe dekha hai. Har taraf nazar tum hi tum aate ho, har jagha tera chera benaai deta hai, Pir soch mein pad jata hoon, ye haal mera kya hai. Main khud ko bhula baitha hoon, jab se tumhe dekha hai.

No comments:

Post a Comment