Yaar mere; ek haadsha ho gaya...
Dil mera, uski gaadi ke neeche aa gaya...
Khubsoorat thi woh, masoom thi woh...
Jhatse, dil ko utha seene se laga liya...
yaar mere; ek haadsha ho gaya...
Lamha badalta raha, main wahein khada raha...
Bheed mein tanhai ko mehsoos karta raha...
Najar unse hatti nahi thi...
zamana dekhne nahi de raha tha...
woh door se muskurati rahi...
Hum auron ko dekhte reh gaye...
Sama badalta raha, afsana wahi tha...
yaar mere; ek haadsha ho gaya...
Julf unki udh kar hoton ko choom rahi thi...
Hawa bhi apne mannmane dhangse chal rahi thi...
Kabhi unse toh, kabhi humse sararat kar rahi thi...
Badi khamoshi se woh kuch kahte rahe...
Hum use khamoshi se sunte rahe...
Woh hoton ko daaton mein daba...
adayein badalte rahe, andaz wahi tha...
yaar mere; ek haadsha ho gaya...
Dil jo mera uske paas tha...
Main dil se kehta raha...
Dhadak aahista se aye dil...
kahin unse phisal na jaye...
kahin phir ek haadsha na ho jaye...
yaar mere; ek haadsha ho gaya...
yaar ek fasana ho gaya...
-- By dUke (Vineet Arya)