Friday, March 7, 2008

Ye Barish Ki Pehli Bundein

Woh barish ki bundon ka girna, sote pani ko apni takkar se jagana.
Woh paton par inka thirkna, dharti ko bhigo kar, use mekha dena.
Woh medhak ka khush hona, aur fir shor macha kar apni khushi ka izzhar karna.
Dil ki bechani ko aur badha dena, khabon ko bunne ke liye aur uksa dena.
Ye barish ki pehli bundein, haan ye barish ki pehli bundein.
Woh bachon ko school se chutti marne ka bahana.
Barish ke mausam mein kuch kaam na karna, bas chai sang pakode chakhna.
Woh barish ki bundon ka chat par padna, TAAN SEN ki taan ko phir se sajha dena.
Mann mein aadhe – poore geet utha dena, un geethon ke sang jor-jor se gana.
Ye barish ki pehli bundein, haan ye barish ki pehli bundein.
Woh barish ki boudein ka, sukhe nadiyoun-naaloon mein fir se jaan phookh dena.
Sadak ke gadhon mein bharkar apna adhikar jama lena,
Aate Jate logon ke sang bin holi ke kichad sang holi khelna.
Phir joor joor se khilli udana.
Yeh barish ke pehli bundein, haan ye barish ki pehli bundein.
Woh raahgiron ka teji se ghar ki or lapakna,
Barish se bachna aur bachkar bhi gila ho jana.
Apne saath barish ko ghar leaana, apne ko aadha sukha - aadha gila pana.
Woh mummy ka darwaje par hi keh dena, haar taraf pani pani na karma,
Jaldi se kapde badal lo, main chai bana deti hoon.
Woh gharwalon ka mujhe gila dekh kar muskurana.
Dil mein ek halki si jalan ka hona , Us jalane ki khusboo ko phir yaad delna.
Yeh barish ke pehli bundein,haan ye barish ki pehli bundein.

-By Vineet Arya